Saturday 13 April 2013

Santa Banta Chchdho, sirf PP Bolo...

!.Naukar guest se :: Saheb ko disturb na karen sir !
Guest : Saheb aankh munde baithe hain, kya meditation kar rahe hain ?
Naukar:: Meditation nahin, Facebook par kya comment likha jaye, woh soach rahe hain..!!
2.
Dost: yaar tere biceps zabardast ho gaye hain, woh kaise yaar ?
Yaar:main aajkal regular jata hun.
Dost: gym ? Yaar tu bore nahin hota ?
Yaar : tu bore ki kehta hai, kabhie gym ja ke dekh , wahan kaun hote hain !!??
3. 
Madam kaamwali se : jaldi kaam khatam kar do, mujhe beauty parlour jana hai.
Kaamwali : madam aaj koi party hai ? 
Madam : party nahin, mujhe facebook ka dp change karna hai !
4. 
Friend....yaar tera bank balance itna zabardast kaisa hai ? mujhe toh har mahine kabhie diamond, toh kabhie saree khareedni padhti hai bibi ke liye.
Dost.......ha ha maine apni bibi ke liye pichhle saal ek latest mobile khareed di, woh sare din sirf facebook karti rehti hai, diamond ki use kya jaroorat ?
5. 
Phool wali....madam phool khareed lo.
Madam....mujhe phool se nafrat hai
Phool wali....magar saheb toh yahan se roz phool khareedte hain ??
6. 
auntie, apne naukrani ke liye kaha tha, main ek achhee pyaree si naukrani bhej rahee hun,
Auntie.....khabardaar, use mat bhejna yeh aajkal chhuttee pe ghar baithe hain !!
7. 
husband.....aji sunti ho, main thak haar ke lauta hun office se kuchh milega khane ko ?
Bibi......main kya jhak maar rahee thi subah se ? Maine bhee santa banta ke saat jokes face book pe post kiya hai, khana kaise banati ??

No comments:

Post a Comment