Monday 10 June 2013

main ab bhi pyaar karta hun...


Sitaron se bhari aasma ko
main ab bhee pyar karta hun
Chand ko sitaron se jitnee mohabbat hai
humne bhi unse utnee hee mohabbat ki hai
na hee baat karne ka bahana aata hamein
na hee aata hai nazar takrana
har lamha bas ek hi khayal hai
ki hum ko unse pyaar hai
unki har saans mein ek khushboo hai
unke har lafz mein ek shayree
unhe baarish se pyaar hai
hamein unki yadon ki baarish se
baarish ke har boondon ko
main ab bhi pyaar karta hun
sitaron se bhari aasman ko
main ab bhi pyar karta hun...

No comments:

Post a Comment