Saturday 8 June 2013

Hamein bhi aata hai...

Sapno ko sakaar karna
hamein bhi aata hai
Khwabon ko sajaana
hamein bhi aata hai
har waqt har lamha
aapki yaad mein bitana
hamein bhi aata hai
ruthe dil ko manana
hamein bhi aata hai
pathar dil ko ishq sikhana
hamein bhi aata hai
din bhar teri duvaon mein bitana
hamein bhi aata hai
har dard main muskrana
hamein bhi aata hai
har ilzaam ka haqdaar ho jana
hamein bhi aata hai
sirf teri shayree hee nahi
tumhe haqeeqat main pana
hamein bhi aata hai
Sapno ko sakaar karna
hamein bhi aata hai...

No comments:

Post a Comment