Wednesday 2 July 2014

Baba...

Bachpan mein ek kahani kahin suna tha
ek baba kaheen raha karte thei
hamesh mast aur khush rahte thei
loag unhe dekhne jaya karte thei
ek din baba anya dinon se bhee zyada
khush thei aur mast hokar naach rahe thei
loagon ne poochcha unse ki mast hone ka rahsya kya hai
Baba ne kaha..mere paas ek hee lota tha...jo mera sab kuchh tha
jise main nahane, paani peene wa bhiksha mangne ke liye
istamaal karta tha...woh bhee aaj kho gayi..
mere paas sambhalne ke liye kuchch bhee nahee raha
isee liye main mast hokar naach raha hun...
Aaj kal mera bhee haal kuchch Baba..ki tarah hee hai
har waqt mast rahta hun...aur naachta rahta hun
mujhse bhi loag poochchte rehte hain...
PP itna khush rahne ka raaz kya hai
uss raaz ko main khud bhee jan na chahta hun...

No comments:

Post a Comment