Sunday 29 December 2013

sab kuchh tay hai...??

Kahte hain sab kuchh tay hota hai
hamein kis se milna
kab taq milna
aur kya kehna aur kya karna
kab tak saath chalna
aur kab bichhadhna
Sab kuchh tay hota hai
aur kaun hamara saathee banta hai
aur kaun jeevan bhar saath rehta hai
sab kuchh tay hota hai
hamein kab tak jeena hai
kab mar jana hai
aur kya kya haasil karna hai
Main yeh nahee kahunga ki
hamare haath kuchh bhee nahee hota
haan kuchh hadd tak ham
taqdeer ko badal sakte hain
magar kabhie lagta hai
shayad yeh taqdeer ko badalna bhee
Uski itchcha ho....

No comments:

Post a Comment