Friday 27 September 2013

Chakravyuh...


Yeh FB ka Charavyuh hai
yahan aadmi dhansta jata hai
terahven din aane ke pehle hee
iske bahar nikal javo
Abhimanyu khud bach nahee paya
iss Chakravyuh ke maya jaal se
wahan Uttara uska intazaar karti rahee
tum yahan sare prashno ka Uttar doondhte rahe
Mahabharat ki ladhayee mein
Abhimanyu ko moksha prapt huva
tum Facebook mein moksha khojte rahe ...





No comments:

Post a Comment