Wednesday 5 March 2014

My childhood friends of Vizag...


Yeh mere un doston ke liye likh raha hun
jo ab bhee Vizag mein hosiery bechte hain
yaa picture hall ke saamne black ticket...
main janta hun doston kaun hai apna aur kaun paraya
tere dosti mein ek bandhan hai
tu hee bata dost kya main bhula sakta hun
tumhe kya pata dost tum mere kya ho
aaj bhi tumhe dekhta toh dil pighalta hai
barso pahle jo hamne bitaye the woh pal
un nukkadho mein un coffee houses mein
main ab bhee un ki raah takta hun...

No comments:

Post a Comment