Tuesday 27 August 2013

Maa...in my voice...

Bahut din huve kisi ne maathe par
Haath ghumaya nahee
Tum toh betahaasha chaahtee thi mujhe
Phir kyon aankhe pher lee
Bahut din huve kisi ne Raja beta keh kar bulaya nahee
Tum toh har waqt saaye see chipki rehtee thee
Ab kyon aisee berukhee...?
Bahut din huve kisi ki Goad mein
Sar rakh kar soya nahee
Tum toh meri dhoop se bachane waali chhaanv thi
Bahut din huve woh pyari see awaaz sunayi nahee di
Tum toh din bhar mujhse baate karti thakti nahee thi
Tere is tarah achaanak jana naasoor sa bana hai zakhmo par
Hansta bhi hun, muskrata bhi hun, duniyadari bhi nibhata hun
magar bahut din huve chehre par khul kar hansi nahi aayee...( By Rachna Hemant )
https://soundcloud.com/pendyala-pradeep/maa

No comments:

Post a Comment